Lyric of naatia kalam in Urdu and English
Ik mein he nahi un par qurban zamana hey Lyrics
Ik mein he nahi un par qurban zamana heyJo Rabb e do aalam ka mehboob yagana hey
Ik mein he nahi un par qurban zamana hey
Kal pul say hamein jis nay khud paar lagana hey
Zahra (RA) ka woh Baba (PBUH) hey Hasnain (RA) ka Nana (PBUH) hey
Iss Hashmi Dulha per konain ko mein waroon
Jo husan o shumail mein yakta e zamana hey
Izzat say na marjayeen kyun naam e Muhammad (PBUH) par
Youn b kisi din hum ney duniya say tou jana hey
Yoon Shah e Madina ki mein pusht panahi mein
Kiya iski mujhe parwa dushman jo zamana hey
100 baar agar tauba tuti b to kiya hairat
Bakhshish ki riwayat mein toba to bahana hey
Mehroom e karam iss ko rakhay na sar e mehshar
Jesa hey Naseer aakhir sahil tou purana hey
Pur Noor si rahein hein gunmbad pay nigahein hey
Jalvay b anokhay hein manzar b suhana hey
Yeh keh kay dar e haq say le mout mein kuch mohlat
Milad ki aamad hey mehfal ko sajana hey
Aao dar e Zahra (RA) par phelayee huwe daman
Yeh nasal kareemon ki lajpal gharana hey
Qurban us aaqa per kal hashr k din jis nay
Iss ummat e aasi ko kamli mein chupana hey
Har waqt wo hein meri dunya e tassawar mein
Ae shouq kahin ab tou aana hey na jana hey
Hum kyun na kahein unsay rodad e alam apni
Jab unka kaha khud b Allah nay mana hey
Ik mein he nahi un par qurban zamana hey
No comments:
Post a Comment