Saturday 22 April 2017

Khush Bakhat Hein Wo Insaan Jo Madiney Jatey Hain - Ever Hit Urdu Naat

hd urdu naat image
Khush bakht hein woh insaan jo Madiney jatey hein
Bantey hein Terey (PBUH) mehmaan jo Madiney jate hain

Hub daroon per yeh khaas ek inam hey qudrat ka
Uss rozey ka didar tou deedar  hey janat ka
Kiun karain na khud pe maan jo Madinay jatain hein

Jiss simat uthain aankh so bakhshash ki sabeelain hein
Wo gunbad wo minar noorani qandeelein hein
Hootey hein bahut heeran jo Madiney jatey hein

Wo pakiza mahol ik jannat ka manzar hey
Hein in ki hifazat mein khatra na koi dar hey
Milti hey unhain amaan jo Madiney jatey hein
Bantey hain Teray (PBUH) mehman jo Madiney jate hein

No comments:

Post a Comment