Merey kamli waley ki xan he nirali hey
Do jahan k data hein kandhey pay kamli kali hey
Her tarf Madiney mein bheer hey faqiroon ki
Ek deney wala hey sara jag sawali hey
Khuld jis ko kehtey hein meri dekhi bali hey
Sabz sabaz gunbad hey aur sonehri jali hey
Chaoon mehki mahki hey dahoop thandi thanddi hey
Shehar e Mustafa (PBUH) teri bat he nirali hey
Chand ki tarah unn ko hum kahen tou mujram hey
Kiyoun k unn ki chokhat per chaand khud siwali hey
Wo Bilal Habshi hoon ya Awais Qarni hoon
Unn k chahney waloon ki her ada nirali hey
Jitney Unn k mangtey hein mein ney sub say poocha hey
Koi b nahin kehta k meri jhooli khali hey
Qabr k andherey ka ay saeed kia khatra
Shama e Mustafai say mein nay loo laga li hey
Monday, 30 October 2017
Wednesday, 25 October 2017
Jaga Do Meri Qismat B - Special Urdu Naat Lyric
Jaga do meri qismat b Khudara Ya Rasool (PBUH) Allah
Dikha do muj ko roozey ka nazara Ya Rasool (BPUH) Allah
Tumhara nam nami hey sakoon e qalb ka baes
Nazr ka noor hey roza tumhara Ya Rasool (PBUH) Allah
Meri dunia sanvar jae meri uqbaa sudhar jaae
Agr ho jaae rehmat ka ishara Ya Rasool (PBUH) Allah
Zamana choot jaaee rooth jaae khalq tou kia gham
Na chooty haath say daman tumhara Ya Rasool (PBUH) Allah
Jabin shouq mas hoti hey jab roozey ki jali sey
Chamk jata hey qismat ka sitara Ya Rasool (PBUH) Allah
Tammana-e sikandar hey dam e aakhir shah e batha
Rahey vird e zuban kalma tumhara Ya Rasool (PBUH) Allah

Friday, 20 October 2017
Lyric Naat - Ishq Mehboob Mein Jo Jan Sey Guzr Jatey Hein
Ye haqiqat hey k wo log sanwar jatey hein
Zarrey detey hein slamon ki sadaeen aksar
Jin galion kwchoon sey Sarkar(PBUH) guzr jatey hein
Ye na socho ko wo aaen gey tou therin gey kahan
Wo tou khushbo ki tara her dil mein utar jatey hein
Bakh-shashen deney ko ati hein mubarak iss ko
jan e alam k qadm jis jis k b ghar jatey hein
La makan pay b gaye ek he pal mein Aaqa (PBUH)
Aap (PBUH) k qadmoon mein simt sarey safr jatey hein
Apni kutia mein kahan Hazrat Ansari ney
Dekh letey hein k Sarkar (PBUH) kidhar jatey hein
Naam leta hoon mahafl mein jo in ka nasir
Char soo Aap (PBUH) k anwar bikhr jatey hein
Friday, 13 October 2017
Naat Rasool e Maqbool Lyric - Soocha Hey K Ab Shehar e Risalat Mein Rahein Gey
Socha hey k ab shehar e Risalat (PBUH) mein rahein gey
Hum zindagi bar Aap (PBUH) ki qurbat mein rahein gay
Phir aur kisi shey ki tamana na rahe gi
Jab gosha e darbar e Nabo-wat (PBUH) mein rahein gay
Uth aey dil e bay taab Madina ki tarf chal
Ab aur kahan tak isi halat mein rahein gey
Ab iss say zyada b ho kia khobi qismat
Hum Sarwar e Konen (PBUH) ki sohbat mein rahein gey
Dunya hamein takleef koi dey na sakey gi
Hum Khawaja e Tayyaba ki hifazat mein rahein gey
Haath aaney do ik rooz munir Aap ki chadar
Ta hashr isi saya e rehmat mein rahein gey

Tuesday, 10 October 2017
Aap (PBUH) Per Mein Lakh Jan Sey Qurban - Very Nice Urdu Naat Lyric
Aap (PBUH) per mein lakh jan say qurban Ya Rasool (PBUH) Allah
Bar aaen merey dil k b arman Ya Rasool (PBUH) Allah
Kashta hoon rooe pak ka nikloon jw qabr sey
Jari meri zuban pe ho Quraan Ya Rasool (PBUH) Allah
Dunya sey aur kuch nahin matloob hey mujhey
Lay jaoon apney sath mein emaan Ya Rasool (PBUH) Allah
Kiyoun dil pe mein fida na karon jan Ya Rasool (PBUH) Allah
Rehtey hein iss mein Aap k arman Ya Rasool (PBUH) Allah
Iss shouk mein ke Aap k daman say ja miley
Mein chak kar raha hoon girebaan Ya Rasool (PBUH) Allah
Kafi hey ye vasila e shifa-att k vastey
Aasi tou hoon magr hoon pishemaan Ya Rasool (PBUH) Allah
Mushkil kusha hein Aap, ameer Aap ka ghulam
Ab iss ki mushkilen b hoon aasan Ya Rasool (PBUH) Allah

Wednesday, 4 October 2017
Inspiring Urdu Naat Lyric - Zandgi Haqeqat Mein Bus Ussi Ney Pae
Zindgi haqeqat main bus ussi ney pae hey
Mustafa (PBUH) k koochey mein jiss ko maut aae hey
Mujh ko merey murshad ney baat ye batai hey
Jo Nabi (PBUH) ka ho jae uss ki kul khudai hey
Chaar soo andhera tha zulmatoon ka deera tha
Mustafa (PBUH) k aaney sey ye bazm jug magai hey
Rakh lia bharm tera Amina k jaae ney
Naaz ker Haleema tou Mustafa (PBUH) ki dae hey
Hashr mein her ek lab per ho ga ik yehi naara
Mustafa (PBUH) karm key jiye Aap ki duhai hey
Dam laboon pe aaya hay barh rahi hey bay tabi
Aey saba Madiney say kia payam lai hey
Usss ki nao toofan mein doob hi nahin sakti
Aey aleem Aaqa sey jis ney loo lagai hey

Sunday, 1 October 2017
HD Naat Lyric Collection - Sub Ronaq Hayat Hey Zat e Hazoor (PBUH) Say
Sub ronaq hayat hey zat e Hazoor (PBUH) sey
Roshan ye kainaat hey zat e Hazoor (PBUH) say
Waja sharf yeh hey k ghulam e Hazoor (PBUH) hein
Hum bay kasoon ki baat hey zat e Hazoor (PBUH) sey
Insanyat ko dam e guman say bacha lia
Insan ki nijat hey zat e Hazoor (PBUH) sey
Islam kia hey hum ko bataya Hazoor (PBUH) ney
Islam ka sabat hey zat e Hazoor (PBUH) se
Halan k hum sy rukh hey jahan ka phira huva
Ummed altafat hey zat e Hazoor (PBUH) say
Quran mein Khuda nay qasm shab ki khai hey
Her shab shab e barat hey zat e Hazoor (PBUH) say
Jalvey Khuda k dekhey hein zat e Hazoor (PBUH) say
Zahir Khuda ki zat hey zat e Hazoor (PBUH) sey
Apna tou aur koi vasila nahin magr
Lutf e towaqaat hey zat e Hazoor (PBUH) say
Naat Hazoor e Pak (PBUH) hey fikr haseen saba
Husn e takhayalat hey zat e Hazoor (PBUH) say

Subscribe to:
Posts (Atom)