Charoon Tarf Noor Chahya Aaqa Ka Milad Aaya
Khushyoun Ka Pegham Laya Aaqa Ka Milad Aaya
Shams O Qamar Aur Taarey Kyun Na Hon Khush Aaj Saaray
Unse Hee To Noor Paya Aaqa Ka Milad Aaya
Khushyan Manatay Hein Wohi Dhoomein Machatay Hein Wohi
Jin Per Hua Unka Saya Aaqa Ka Milad Aaya
Hay Shaad Har Ek Musilmaan Karta Hay Ghar Ghar Charaghan
Galiyun Ko Bhi Jagmagaya Aaqa Ka Milad Aaya
Mukhtar e Kul Maanay Jou Unhe Noori Bashar Jaanay Jou Unhe
Naara Ussi Ne Lagaya Aaqa Ka Milad Aaya
Jo Aaj Mehfil Mein Aaye Moun Ki Muradein Woh Paye
Sab Par Karam Ho Khudaya Aaqa Ka Milad Aaya
Ghous Ul Wara Aur Data Ne Mere Raza Aur Khuwaja Ne
Sab Ne He Din Ye Manaya Aaqa Ka Milad Aaya
Naat e Nabi Tum Sunao Ishq e Nabi Ko Barhao
Hum Ko Raza Ne Sikhaya Aaqa Ka Milad Aaya
Jiss Ko Shajar Jaantay Hein Kehna Hajar Maantay Hain
Aisa Nabi Hum Ne Paya Aaqa Ka Milad Aaya
Dil Jagmaganay Lagay Hein Sab Muskaranay Lagay Hein
Ik Kaif Sa Aaj Chahya Aaqa Ka Milad Aaya
Kar Aey Ubaid Unki Midhat Tujh Per Khuda Ki Ho Rehmat
Tu Ne Muqadar Ye Paaya Aaqa Ka Milad Aaya
No comments:
Post a Comment