Ae Biyaban e Arab Teri Baharoon Ko Salam
Ae Biyaban e Arab Teri Baharoon Ko Salam
Teray pholoon ko teray pakiza kharoon ko salam
Jabal e Norr o Jabal e Sour aur un k gharoon ko salam
Noor barsaatay paharoon ki qitaroon ko salam
Jhomatay hein muskuratay hein Mughelaan e Arab
Khubsurat wadiyoon ko regzaroon ko salam
Raat din rehmat barasti hey jahan par jhoom ker
Un Tawaf e Kaba k rangeen nazaroon ko salam
Khoob chumey hein qadam Sour o Hira ne Shah k
Mehkay mehkay piyaray pyaray dono garon ko salam
Madani munno ka b hamla khub tha bu jahal per
Badar k un dono nanhy jaan nisaroon ko salam
Jagmagatay Gumband e Khizra pay hoon roshan Durood
Masjid e Nabvi kay noorani minaroon ko salam
Mimbar o mahrab e jana aur sunehri jaalian
Sabz gumbad k makeen ko dono piyaroon ko salam
Sayyedi Humza ko aur jumla Shaheedan e Uhad
Ko b aur sab Ghazioon ko Shasawaroon ko salam
Jis qadar jin o bashar mai thay Sahaba Shah ky
Sab ko b beshak khususan chaar yaroon ko salam
Jis jaga per aa kay soye hein Sahaba Duss (10) hazaar
Uss Baqi e Pak k saaray Mazaroon ko salam
Ghusal e Kaaba ka b manzar kis qadar pur kaif hey
Jhom kar kehta hey Atta un nazaroon ko salam
Shouq e deedar e Madina mein tarapty hein jo
Unn beqararoon dil figaroon akshbaroon ko salam
No comments:
Post a Comment