Mein Madiney chala
Saaqia meh pila mein Madiney chala
Masto bekhud bana mein Madiney chala
Kaif sa cha giya mein Madiney chala
Jhoomta jhoomta mein Madiney chala
Kia bataoon mili dil ko kaisi kushi
Jab yeh mujhda suna mein Madiney chala
Muskraney lagi mere dil ki gali
Guncha guncha khila mein Madiney chala
Phir ijazat mili jab khabar yeh suni
Dil mera jhoomta mein Madiney chala
Ashk thumtey nahin paon jamtey nahin
Lar karata huwa mein Madiney chala
Laaj rakhna Khuda mein Madiney chala
Ae shajar ae hajar tum b shamso qamar
Tum b dheko zara mein Madiney chala
Rooh he muztar theher tou nikalna udhar
Itni jaldi hey kia mein Madiney chala
Haath uthe rahe mujh ko detey rahey
Woh talab se siwa mein Madiney chala
Mere Aaqa ka ghar ho ga peshe nazar
Chaahiyeh aur kia mein Madiney chala
Mere Siddique Umar, ho salam aap per
Aur rehmat sada mein Madiney chala
Woh Uhud ki zamin jis ke andar makin
Mere Hamza piya mein Madiney chala
Ghumbade subz par jab parey gi nazar
Kia suroor aaye ga mein Madiney chala
Unke Minaar par jab pare gi nazar
Kia suroor aaye ga mein Madiney chala
Mimbare noor per jab uthe gi nazar
Kia suroor aaye ga mein Madiney chala
Mustafa (PBUH) k Huzoor apne sarey kasoor
Bakshwane chala mein Madiney chala
Kia kare ga idhar bandh rakhtey safar
Chal Obaid e Raza mein Madiney chala
Kia he tune kaha a Obaid e Raza
Soch tou kuch zara mein Madiney chala
Lutf tou jab miley mere murshid kahin
Chal Obaid e Raza mein Madiney chala
Rehmateen jhoom kar barse attaar per
Behre Ahmad Raza mein Madiney chala
No comments:
Post a Comment