Sunday, 19 March 2017
Na Kahin Sey Dour Hein Manzlein Na Koi Qareeb Ki Baat Hey - نہ کہیں سے دور ہیں منزلیں نہ کوئی قریب کی بات ہے
Na kahin say dour hain manzlain na koi qarib ki baat hey
Jisey chahey uss ko nawaz dey yeh Dar e Habib (PBUH) ki baat hey
Jisey chaha dar peh bula lia jisey chaha apna bana lia
Ye badey karam k hain faislay yeh barey naseeb ki baat hey
Wo machal k rah main reh gai ye tarap k dar sey lipat gai
Wo kisi ameer ki xan thi ye kisi gareeb ki baat hay
Wo Khuda nahin bakhuda nahin wo magar Khuda sey juda nahin
Woh hein kia magar wo hain kia nahin, yeh muhibb e Habeeb (PBUH) ki baat hey
Main buroon say laakh bura sahi, par Unn (PBUH) sey hey mera wasta
Meri laaj rakhna merey Khuda, ye terey Habib (PBUH) ki baat hay
Tujhey ae munawar bay nava dr Shah (PBUH) sey cahyeh aur kia
Jo naseeb ho kabi samna tou badey nasib ki baat hey
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment