yeh ibrat ki ja hay tamashah nahin hay
Jahan mein hein ibrat kay har soo namouney
Magar tuj ko andha kia rang o boo ney
Kabhi ghour say b yeh daikha hay tou ney
Jo abad thay wo mahal ab hein sooney
Milay khak mein ahl e shaan kaisay kaisay
Huway naamwar bay nishan kaisay kaisay
makeen hogaye laa-makan kaisay kaisay
zameen kha gaye naujawan kaisay kaisay
Ajal ney he chora na kisra ney daara
Isi say Sikandar sa fateh b hara
Para reh gaya sub yunhi thaath saaraa
Her ik ley key kia kia na hasrat sidhaara
Yahi tuj ko dhun hey rahun sub say bala
Ho zeenat nirali ho fashion nirala
Jiya karta hey kia yunhi marney wala
Tuje husn e zahir ne dhokey mein dala
Yeh dunya e fani hey mahboob tuj ko
hue wah kia cheez marghoob tuj ko
Nahen akal itni b Mazjoob tuj ko
Samajh lena ab chahiye khoob tuj ko
Tujhe pehle bachpan ney barsoon khilayaa
Jawani ney phir tuj ko majnoon banayaa
Barhapey ney phir aakay kia kia sataiya
Ajal tera kardegi bailkul safaiya
Jaga g lagaaney ki dunya nahin hey
yeh ibrat ki ja hay tamashah nahin hay
No comments:
Post a Comment