Monday 27 March 2017

Beautiful Naat Meri Zindagi Main Aala Muqam Aaia Hey - Naat Image in Urdu

a-z naat hd image gallery

Meri zindagi mein aala muqam aaya hey
Bulavey ka Tayyaba sey pegham aaya hay

Mein kab sey tha janey ko bay qarar Madina
Ab ja k meri rooh ko aaram aaia hey

Kuch tou duaoon ka b asar tha lekan
Aur kuch yeh tadapna b merey kaam aaia hey

Hain aankhoon mein ansoo tou waja xaram sari
K muj say khata car ka paigham aaya hai

Main apney muqaddar pe kiyoun na karoon naz
Ab hazri ka sandes mery naam aaia hai

Na samjey isse koi khobi sukhan wer
Yeh Unn (PBUH) say muhabbat ka inaam aaya hey

Ab b chuda mehfal main zikar e gham gusar
Aisey mein Muhammad (PBUH) hi ka nam aya hey

Kaisi hey ye ronaq her chehra hay dilshad
Lay kar khushian mah e siyyam aya hey

Tou ho k moaddab yeh kehna Aaqa (PBUH) say kashif
Qabool karo salam, yeh ghulam aaya hay

No comments:

Post a Comment