Wednesday 15 March 2017

Beautiful Urdu & English Naat Lyric Image - Koi Misal Mustafa (PBUH) Ka Kabhi Tha Na Hey Na Ho Ga

Naats HD image

Koi Missal Mustafa (PBUH) ka tha na hey na ho ga
Kisi aur ka ye rutba tha na hey na hou ga

Unhein khalaq kar k nazan huwa khud he dast-e-qudrat
Koi shahkar aisa tha na hey na ho ga

Kisi veham ney de sada koi Aap (PBUH) ka mumasal
Tou yakeen pukar utta kabi tha na hay naa ho gaa

Mairay taaq jaan mein nisbat key charag jal rahey hein
Mujhey Khouf tairgi ka kabi tha na hey na ho ga

Mirey daman e talab ko hey Unhi (PBUH) key dar sey nisbat
Kahin aur say yeh rishta kabhi tha na hey na ho ga

Mein hoon waqaf e naat goi kisi aur ka qaseeda
Meri shairi ka hissa kabi tha na hey na ho ga

Sar e hashar Un (PBUH) ki rehmat ka sabeeh mein hoon talab
Mujhay kuch amal ka daawa kabi tha na hay na ho ga

2 comments: